jo apni chashm-e-tar se dil ka para chhoD jata hai
wahi mahfil mein gham ka istiara chhoD jata hai
myan ghurbat mein har ek be-sahaara chhoD jata hai
andhera ho to saya bhi hamara chhoD jata hai
jidhar jalwe bikharte hain udhar karta nahin nazren
shikast-e-KHwab ke Dar se nazara chhoD jata hai
mujhe sairab karta ja agar tu ek samundar hai
faqat pyase pe kyun ilzam sara chhoD jata hai
har ek hai mahw-e-hairat wo karishma-saz hai aisa
sar-e-mahfil jo ek rangin nazara chhoD jata hai
main akasr kashti-e-mauj-e-bala par sair karta hun
mujhe sahil pe us ka ek ishaara chhoD jata hai
ajab hai mera mohsin bhi ki jate waqt wo akasr
meri palkon pe ek raushan sitara chhoD jata hai
Ghazal
Jo apni chashm-e-tar se dil ka para chhoD jata hai
Sharib Mauranwi