jo apne ghar ko kaba mante hain
pas-e-diwar phir kyun jhankte hain
nahin tere junun par shak nahin hai
teri aadat magar pahchante hain
ye aazurda-jabin mazi ke basi
nae zaKHmon pe yaaden bandhte hain
tere ahl-e-yaqin sajdon mein jhuk kar
mere kafir tera gham mangte hain
rida-e-shab to abr-e-tar se bhigi
chalo ek dhyan sar par tante hain
sitare zabt ke moti hazar ke
qaba-e-arzu par Tankte hain
teri khoTi hansi par rone wale
teri aankhon ke mausam jaante hain
Ghazal
Jo apne ghar ko kaba mante hain
seemab zafar