jo apna gham hai use aaina dikhaun main
bas ek qatre mein dariya sameT laun main
teri nigah to KHush-manzari pe rahti hai
teri pasand ke manzar kahan se laun main
jo dil ki hasrat-e-tamir hai so itni hai
ki ho sake to kisi dil mein ghar banaun main
main jaanta hun andheron ki zindagi kya hai
bujhe charagh to dil ka diya jalaun main
jo zaKHm deta hai to be-asar hi deta hai
KHalish wo de ki jise bhul bhi na paun main
Ghazal
Jo apna gham hai use aaina dikhaun main
Khaleel Tanveer