jo aks-e-yar tah-e-ab dekh sakte hain
ajib log hain kya KHwab dekh sakte hain
samundaron ke safar sab ki qismaton mein kahan
so hum kinare se girdab dekh sakte hain
guzarne wale jahazon se rasm o rah nahin
bas un ke aks sar-e-ab dekh sakte hain
hawa ke apne ilaqe hawas ke apne maqam
ye kab kisi ko zafar-yab dekh sakte hain
KHafa hain aashiq o mashuq se magar kuchh log
ghazal mein ishq ke aadab dekh sakte hain
Ghazal
Jo aks-e-yar tah-e-ab dekh sakte hain
Asad Badayuni