اردو हिंदी
Jo ain wasl mein aaram se nahin waqif | Shaahi Shayari
jo ain wasl mein aaram se nahin waqif

Ghazal

Jo ain wasl mein aaram se nahin waqif

Shah Naseer

;

jo ain wasl mein aaram se nahin waqif
wo matlab-e-dil-e-KHud-kaam se nahin waqif

hansa chaman mein jo dil dekh surat-e-sayyaad
ye murgh dane se aur dam se nahin waqif

tamam shahr mein jis ke liye hue bad-nam
wo ab talak bhi mere nam se nahin waqif

har ek ishq ke kab qaede se mahram hai
hanuz shaiKH alif lam se nahin waqif

hazar haif yahan chhat se lag gain aankhen
wahan wo shoKH lab-e-baam se nahin waqif

dila abas talab-e-bosa hai tujhe us se
wo lal-e-lab ki lab-e-jam se nahin waqif

saji hai lek use zar kulah guzri ki
faqir atlas-o-pilam se nahin waqif

tapish se dil ki KHabar howe hai yahan malum
main tarz-e-nama-o-paigham se nahin waqif

na KHush visal mein ho rakh tu yaad-e-hijr 'nasir'
magar tu gardish-e-ayyam se nahin waqif