اردو हिंदी
Jo ab bhi na taklif farmaiyega | Shaahi Shayari
jo ab bhi na taklif farmaiyega

Ghazal

Jo ab bhi na taklif farmaiyega

Jigar Moradabadi

;

jo ab bhi na taklif farmaiyega
to bas hath malte hi rah jaiyega

nigahon se chhup kar kahan jaiyega
jahan jaiyega hamein paiyega

mera jab bura haal sun paiyega
KHiraman KHiraman chale aaiyega

miTa kar hamein aap pachhtaiyega
kami koi mahsus farmaiyega

nahin khel naseh junun ki haqiqat
samajh lijiyega to samjhaiyega

hamein bhi ye ab dekhna hai ki hum par
kahan tak tawajjoh na farmaiyega

sitam ishq mein aap aasan na samjhen
taDap jaiyega jo taDpaiyega

ye dil hai ise dil hi bas rahne dije
karam kijiyega to pachhtaiyega

kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat
na farmaiyega to farmaiyega

bhulana hamara mubarak mubarak
magar shart ye hai na yaad aaiyega

hamein bhi na ab chain aaega jab tak
in aankhon mein aansu na bhar laiyega

tera jazba-e-shauq hai be-haqiqat
zara phir to irshad farmaiyega

hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil
kise dekh kar aap sharmaiyega

ye mana ki de kar hamein ranj-e-furqat
mudawa-e-furqat na farmaiyega

mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin
kahan tak tabiat ko behlaiyega

na hoga hamara hi aaghosh KHali
kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega

junun ki 'jigar' koi had bhi hai aaKHir
kahan tak kisi par sitam Dhaiyega