اردو हिंदी
Jo aansuon ki zaban ko miyan samajhne lage | Shaahi Shayari
jo aansuon ki zaban ko miyan samajhne lage

Ghazal

Jo aansuon ki zaban ko miyan samajhne lage

Sharib Mauranwi

;

jo aansuon ki zaban ko miyan samajhne lage
samundaron ka wo dard-e-nihan samajhne lage

ye jab se jaana ki zahr-e-badan nikalta hai
hum aansuon ko bhi jins-e-giran samajhne lage

jo Tapke daman-e-hasti pe ashk-e-KHun mere
to ahl-e-zar use gul-kariyan samajhne lage

saron pe oDh ke mazdur dhup ki chadar
KHud apne sar pe use saeban samajhne lage

shajar ko apni zamin se lipaT ke rahna hai
ye baat uDte parinde kahan samajhne lage

main chup hua tha ki Takraw KHatm ho jae
wo mere sabr ko kamzoriyan samajhne lage

wo jab se aa gae mehman ban ke aaankhon mein
hum apne dil ke khanDar ko makan samajhne lage