jiye KHud ke liye gar hum maza tab kya hai jine mein
bahe auron ki KHatir jo hai KHushbu us pasine mein
hai jin ke bazuon mein dam wo dariya par kar lenge
bahut mumkin hai Duben wo jo baiThe hain safine mein
ye kaisa daur aaya hai saron par taj hai un ke
nahin malum jin ko farq patthar aur nagine mein
hamare doston ki muskurahaT ek chhalawa hai
hai paya zahr aksar KHub-surat aabgine mein
gae tum dur jab se dil ye kahta hai karo tauba
maza aata nahin KHud hi uTha kar jam pine mein
sitam sahne ki aadat is qadar hum ko paDi 'niraj'
kahin kuchh ho, nahin ab khaulta hai KHun sine mein
Ghazal
Jiye KHud ke liye gar hum maza tab kya hai jine mein
Neeraj Goswami