jiye ja raha hun tujhe yaad kar ke
tasawwur ki duniya ko aabaad kar ke
pasheman hain hum arz-e-rudad kar ke
karam hi kiya tum ne be-dad kar ke
mujhe is ki mutlaq shikayat nahin hai
sitam par sitam lao ijad kar ke
kahan rahiye apnon se kar ke kinara
mila kya hai ghairon se fariyaad kar ke
hamein wasta aise sayyaad se hai
ki jo said rakhta hai aazad kar ke
bura kar rahe hain tera nam le kar
KHata kar rahe hain tujhe yaad kar ke
mohabbat si shai us ne mujh ko ata ki
ki KHush KHush chalun umr barbaad kar ke
jo chaho shumar apna ahl-e-suKHan mein
paDho sher 'rahbar' ko ustad kar ke
Ghazal
Jiye ja raha hun tujhe yaad kar ke
Jitendra Mohan Sinha Rahbar