اردو हिंदी
Jiya ba-kaam kab is baKHt-e-arjumand se main | Shaahi Shayari
jiya ba-kaam kab is baKHt-e-arjumand se main

Ghazal

Jiya ba-kaam kab is baKHt-e-arjumand se main

Qayem Chandpuri

;

jiya ba-kaam kab is baKHt-e-arjumand se main
phansa qafas mein jo chhuTa chaman ke band se main

hai go ki jazb mera tar-e-ankabut se sust
ye sher phanse hain akasr isi kamand se main

kabhu de bazm mein apni mujhe bhi ruKHsat-e-soz
gaya asar mein meri jaan kya sipand se main

jo talKHiyen ki zaKHira main ki hain gham mein tere
na un se ek ko badlun hazar qand se main

butan-e-dahr se 'qaem' kiya main kis ko pasand
hun ab hamesha nadamat mein jis pasand se main