jitni buri kahi jati hai utni buri nahin hai duniya
bachchon ke school mein shayad tum se mili nahin hai duniya
chaar gharon ke ek mohalle ke bahar bhi hai aabaadi
jaisi tumhein dikhai di hai sab ki wahi nahin hai duniya
ghar mein hi mat use sajao idhar udhar bhi le ke jao
yun lagta hai jaise tum se ab tak khuli nahin hai duniya
bhag rahi hai gend ke pichhe jag rahi hai chand ke niche
shor bhare kale naron se ab tak Dari nahin hai duniya
Ghazal
Jitni buri kahi jati hai utni buri nahin hai duniya
Nida Fazli