اردو हिंदी
Jitni bhi tez ho sake raftar kar ke dekh | Shaahi Shayari
jitni bhi tez ho sake raftar kar ke dekh

Ghazal

Jitni bhi tez ho sake raftar kar ke dekh

Zuhoor-ul-Islam Javed

;

jitni bhi tez ho sake raftar kar ke dekh
phir apni KHwahishon ko giraftar kar ke dekh

diwana hai junun mein guzarta hi jaega
tu raston ko chahe to diwar kar ke dekh

yusuf bhi hai yahan pe zuleKHa-e-waqt bhi
bas misr ki si garmi-e-bazar kar ke dekh

ai mohtasib riwayat-e-kuhna ke naqsh mein
tamir karta jaunga mismar kar ke dekh

shayad isi mein sare masail ka hal mile
sardar hai jo us ko sar-e-dar kar ke dekh

'jawed' gar hai KHwahish-e-taskin-e-qalb-o-jaan
ruKH apna jaanib-e-shah-e-abrar kar ke dekh