jitne the rang husn-e-bayan ke bigaD gae
lafzon ke bagh shahar ki surat ujaD gae
is aandhiyon ki fasl mein hai kis bina pe naz
tum kya ho aasmanon ke KHeme ukhaD gae
ye moajiza hayat ka mamul ban gaya
itni dafa charagh hawaon se laD gae
qatre lahu ke jin ko samajhte ho be-numu
akasr zamin-e-shor mein bhi jaD pakaD gae
gardan-faraaziyon yun hai maqtal zamin tamam
kaise kahan ye baat pe tum apni uD gae
Ghazal
Jitne the rang husn-e-bayan ke bigaD gae
Aziz Qaisi