jitne pani mein koi Dub ke mar sakta hai
utna pani to meri ok mein bhar sakta hai
ye to main roz kinare pe khaDa sochta hun
pyas baDh sakti hai dariya bhi utar sakta hai
ek diya aur to kuchh kar nahin sakta lekin
shab ki diwar mein darwaza to kar sakta hai
husn-e-tartib se rakkhi hui yaadon ki taraf
dekhne wala kisi roz bikhar sakta hai
is ka titli sa badan dur se dekha jae
wo kisi hath mein aate hue mar sakta hai
tum zara soch ke us shaKHs pe takiya karna
wo farishta nahin wade se makr sakta hai
dil ko aankhon se ulajhne nahin deta 'ami'
warna dariya se samundar bhi guzar sakta hai
Ghazal
Jitne pani mein koi Dub ke mar sakta hai
Imran Aami