jitna tha jina ji liye mar jaana chahiye
had ho gai to had se guzar jaana chahiye
Thahre hue hain kab se ye mehman ki tarah
aankhon se aansuon ko bikhar jaana chahiye
ye kya ki rose qisse mein tum sher hi bano
yaro kabhi kabhaar to Dar jaana chahiye
us ki gali mein jaur-o-jafa aam hai bahut
us ki gali mein yar magar jaana chahiye
ab ke to marka hai bahut saKHt zist ka
ab ke to marke mein ye sar jaana chahiye
chal to rahe hain log yahan qafile ke sath
lekin pata nahin hai kidhar jaana chahiye
yun to mushaeron se ye ji bhar gaya magar
kahna 'obaid' ka hai 'qamar' jaana chahiye
Ghazal
Jitna tha jina ji liye mar jaana chahiye
Qamar Siddiqi