اردو हिंदी
Jitna tera hukm tha utni sanwari zindagi | Shaahi Shayari
jitna tera hukm tha utni sanwari zindagi

Ghazal

Jitna tera hukm tha utni sanwari zindagi

Azm Shakri

;

jitna tera hukm tha utni sanwari zindagi
apni marzi se kahan hum ne guzari zindagi

mere andar ek naya gham rose rakh jata hai kaun
rafta rafta ho rahi hai aur bhaari zindagi

ruh ki taskin ke sare dariche khul gae
dard ke pahlu mein jab aai hamari zindagi

sirf thi KHana-badoshi ya mohabbat ka junun
hijraten karta raha ek shaKHs sari zindagi

ek lafz-e-kun kaha aabaad sannaTe hue
aasmanon se zaminon par utari zindagi