اردو हिंदी
Jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun | Shaahi Shayari
jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun

Ghazal

Jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun

Mohsin Zaidi

;

jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun
utna hi TuT ke andar se bikharta jaun

zindagi jaise calendar pe badalti tariKH
main shab-o-roz ke manind guzarta jaun

kya pata KHwabon ki tabir mile ya na mile
kisi kaghaz pe unhen note hi karta jaun

sehn-e-gulshan se wo ek aaKHiri rishta bhi gaya
KHushk patton ki tarah ab to bikharta jaun

tah-e-zulmat in aaankhon ke diye jalte jaen
zina zina main ujalon mein utarta jaun

gard-e-daman ki tarah mujh ko uDane wale
aks ban kar teri aaankhon mein Thaharta jaun

kitne ghabrae hue hain mere qatil 'mohsin'
aastinon pe lahu ban ke ubharta jaun