jitna dikhta hun mujhe us se ziyaada na samajh
is zamin ka hun mujhe koi farishta na samajh
ye teri aankh ke dhoke ke siwa kuchh bhi nahin
ek bahte hue dariya ko kinara na samajh
chhoD jaega tera sath andhere mein yahi
ye jo saya hai tera is ko bhi apna na samajh
jin kitabon ne andheron ke siwa kuchh na diya
un kitabon ke ujalon ko ujala na samajh
ye jo biphra to Duboega safine kitne
tu ise aankh se Tapka hua qatra na samajh
wo tujhe banTne aaya hai kai TukDon mein
muskuraate hue shaitan ko masiha na samajh
tujh se hi mang raha hai wo to KHud apna wajud
KHud jo sail hai use koi KHalifa na samajh
hai tere sath agar tere iradon ka junun
qafila hai tu kabhi KHud ko akela na samajh
sath hain mere buzurgon ki duaen itni
main hun mahfil tu mujhe pal ko bhi tanha na samajh

Ghazal
Jitna dikhta hun mujhe us se ziyaada na samajh
Dwijendra Dwij