jismon ki mehrab mein rahna paDta hai
ek musalsal KHwab mein rahna paDta hai
apni gahrai bhi nap nahin sakte
aur hamein payab mein rahna paDta hai
ruhon par mal kar duniya ke sannaTe
aawazon ke bab mein rahna paDta hai
umDa rahta hai jo teri aankhon mein
aise bhi sailab mein rahna paDta hai
angDai lete hain mujh mein sat falak
aafaqi girdab mein rahna paDta hai
janam nikal jate hain KHud se milne mein
ek safar nayab mein rahna paDta hai

Ghazal
Jismon ki mehrab mein rahna paDta hai
Riyaz Latif