jism taza gulab ki surat
zindagi ek nisab ki surat
naqsh hain ab waraq waraq dil par
chand yaaden kitab ki surat
wo mere pas hai nahin bhi hai
ek haqiqat sarab ki surat
dard us se bayan karun kaise
jaise mahi-be-ab ki surat
mai-kade mein agar nahin kuchh to
zahr de de sharab ki surat
husn-e-jaanan ka haal kuchh yun hai
chand Dhalte shabab ki surat
gar wo puchhenge haal-e-dil 'zakir'
kuchh nahin hai jawab ki surat
Ghazal
Jism taza gulab ki surat
Zakir Khan Zakir