jism shoala hai jabhi jama-e-sada pahna
mere suraj ne bhi baadal ka labaada pahna
silwaTen hain mere chehre pe to hairat kyun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahna
KHwahishen yun hi barahna hon to jal-bujhti hain
apni chahat ko kabhi koi irada pahna
yar KHush hain ki unhen jama-e-ehram mila
log hanste hain ki qamat se ziyaada pahna
yar-e-paiman-shikan aae agar ab ke to use
koi zanjir-e-wafa ai shab-e-wada pahna
ghairat-e-ishq to mane thi magar main ne 'faraaz'
dost ka tauq sar-e-mahfil-e-ada pahna
Ghazal
Jism shoala hai jabhi jama-e-sada pahna
Ahmad Faraz