jism par khurduri si chhaal uga
aankh ki putliyon mein baal uga
tir barsa hi chahte hain sambhal
apne hathon mein ek Dhaal uga
kaT aagahiyon ki fasl magar
zehan mein kuchh nae sawal uga
dosh o farda ko Dal gaddhe mein
khad se un ki roz haal uga
baDhi jati hain mans ki faslen
in zaminon pe kuchh akal uga
chakh chuka zaiqe urujon ke
ab zaban par koi zawal uga

Ghazal
Jism par khurduri si chhaal uga
Sadiq