jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyun
zindagi bhala tujh se ho rahi hai wahshat kyun
silsila mohabbat ka sirf KHwab hi rahta
apne darmiyan aaKHir aa gai haqiqat kyun
faisla bichhaDne ka kar liya hai jab tum ne
phir meri tamanna kya phir meri ijazat kyun
ye ajib uljhan hai kis se puchhne jaen
aaine mein rahti hai sirf ek surat kyun
karr-o-farr se nikle the jo sameTne duniya
bhar ke apne daman mein aa gae nadamat kyun
aap se muKHatib hun aap hi ke lahje mein
phir ye barhami kaisi aur ye shikayat kyun
Ghazal
Jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyun
Ambareen Haseeb ambar