اردو हिंदी
Jism-o-jaan kis gham ka gahwara bane | Shaahi Shayari
jism-o-jaan kis gham ka gahwara bane

Ghazal

Jism-o-jaan kis gham ka gahwara bane

Hanif Fauq

;

jism-o-jaan kis gham ka gahwara bane
aag se nikle to angara bane

sham ki bhigi hui palkon mein phir
koi aansu aae aur tara bane

lauh-e-dil pe naqsh ab koi nahin
waqt hai aa jao shah-para bane

ab kisi lamhe ko manzil man len
dar-ba-dar phirte hain banjara bane

kam ho gar jhuTe sitaron ki numud
ye zamin bhi anjuman-ara bane

jurm-e-na-karda-gunahi hai bahut
zindagi hi kyun na kaffara bane

toD Dalen hum nizam-e-KHastagi
ye jahan kohna dobara bane