jism mein KHun ki rawani ka maza aaega 
ishq hote hi jawani ka maza aaega 
josh guftar mein kuchh aur baDha lo apne 
tab hi kuchh shoala-bayani ka maza aaega 
aaj hum donon nahaenge baDi shiddat se 
aaj barsat ke pani ka maza aaega 
barishen waqt pe kheton ko hara kar den to 
sab kisanon ko kisani ka maza aaega 
aaj to muD hai mahfil bhi hai 'mohsin'-sahab 
aaj angur ke pani ka maza aaega
        Ghazal
Jism mein KHun ki rawani ka maza aaega
Mohsin Aftab Kelapuri

