jism mein gunjta hai ruh pe likkha dukh hai
tu meri aankh se bahta hua pahla dukh hai
kya karun bech bhi sakta nahin ganjina-e-zaKHm
kya karun banT bhi sakta nahin aisa dukh hai
ye tab-o-tab zamane ki jo hai na yaro
kijiye ghaur to lagta hai ki sara dukh hai
tum mere dukh ke tanasub ko samajhte kab ho
jitni KHushiyan hain tumhaari mera utna dukh hai
aisa lagta hai mere sath nahin kuchh bhi aur
aisa lagta hai mere sath hamesha dukh hai
mujh se mat aankh milao ki meri aankhon mein
shahr ki zard ghuTan dasht sa pyasa dukh hai
le gae log wo dariya-e-jawan apne sath
aur mere hath jo aaya hai wo sahra dukh hai
kya bataun ki liye phirta hun dukh kitne qadim
tum samajhti ho faqat mujh ko tumhaara dukh hai
us ke lahje mein thakan hai na hi aasar-e-marg
us ki aankhon mein magar sab se anokha dukh hai
hum kisi shaKHs ke dukh se nahin milte 'haidar'
jo zamane se alag hai wo hamara dukh hai
Ghazal
Jism mein gunjta hai ruh pe likkha dukh hai
Faqeeh Haidar