jism ki ret bhi muTThi se phisal jaegi
maut jab ruh liye ghar se nikal jaegi
subh aaegi janaze mein liye suraj ko
yaad-e-mazi mein agar raat pighal jaegi
ag ke bas mein nahin apni hifazat karna
to faqat mom jala aag bhi jal jaegi
KHana-e-dil mein basi chashm-e-lahu mangen hai
sochta tha ki khilaune se bahal jaegi
sham jab lauT gai chhoD ke tanha tujh ko
ta mujhe chhoD ke ab raat bhi Dhal jaegi
ashk niklega dhuan ban ke isi mahfil se
shama jab kud ke us aag mein jal jaegi
panw phisla to giregi wo kisi daldal mein
zindagi maut nahin hai ki sambhal jaegi
Ghazal
Jism ki ret bhi muTThi se phisal jaegi
faiz jaunpuri