اردو हिंदी
Jism ke par wo diya sa hai | Shaahi Shayari
jism ke par wo diya sa hai

Ghazal

Jism ke par wo diya sa hai

Farhat Ehsas

;

jism ke par wo diya sa hai
darmiyan KHak ka andhera hai

khil rahe hain gulab honTon par
aur KHwabon mein us ka bosa hai

mere aaghosh mein sama kar bhi
wo bahut hai to istiara hai

phir se un ju-e-shir aankhon ne
be-sutun jism ko giraya hai

wo tumhaari hari-bhari aankhen
ret ko dekh len to sabza hai

bas tera nam bol deta hun
aur honTon ke pas dariya hai

raushni se bhara hua ek shaKHs
shahr bhar ke diye jalata hai

aankh bhar dekh lo ye virana
aaj kal mein ye shahr hota hai

ishq aKHbar kab ka band hua
dil mera aaKHiri shumara hai