jism ke neze par jo rakkha hai
us mere sar mein jaane kya kya hai
but banaya mere hunar ne mujhe
mere hathon ne mujh ko toDa hai
bastiyan ujDi hain to sannaTa
meri aawaz mein samaya hai
main bhi be-jaD ka peD hun shayad
mujh ko bhi Dar hawa se lagta hai
shahr mein kuchh imaraton ke siwa
ab mera kaun milne wala hai
kahne sunne ko kuchh nahin baqi
milna-julna ajab sa lagta hai
Ghazal
Jism ke neze par jo rakkha hai
Manzar Saleem