jism ke bayaban mein dard ki dua mangen
phir kisi musafir se raushni zara mangen
kho gae kitabon mein titliyon ke baal-o-par
soch mein hain ab bachche kya chhupaen kya mangen
zafrani kheton mein ab makan ugte hain
kis tarah zaminon se dil ka rabta mangen
hum bhi ho gae shamil masnui tijarat mein
hum ki chehra-saman the ab ke aaina mangen
warna ilm namon ka uTh na jae dharti se
aadmi phale-phule aao ye dua mangen
is se peshtar ki ye raat mund le aankhen
nanhe-munne jugnu se raushni zara mangen
wo sadaen deta hai aaKHiri jazire se
aur hum nigahon ka husn-e-ibtida mangen
kis ke samne rakhiye khol kar raza apni
aur kis se jadu ka bolta diya mangen
Ghazal
Jism ke bayaban mein dard ki dua mangen
Ahmad Shanas