jism ke andar sisakta kaun hai
aise virane mein basta kaun hai
ye ThiThurti raat barfila saman
gili aankhon mein utarta kaun hai
KHauf miTne ka nahin hai dosto
ye bata dena ki miTta kaun hai
ram sa ban-bas kuchh mushkil nahin
sirf ek mushkil hai sita kaun hai
shahr sara jal gaya ab sochiye
shahr ke naqshe badalta kaun hai
mujh ko apnon se hi akasr Dar laga
jaane in apnon mein Dasta kaun hai
Ghazal
Jism ke andar sisakta kaun hai
Tanha Timmapuri