اردو हिंदी
Jism ka bojh uThae hue chalte rahiye | Shaahi Shayari
jism ka bojh uThae hue chalte rahiye

Ghazal

Jism ka bojh uThae hue chalte rahiye

Meraj Faizabadi

;

jism ka bojh uThae hue chalte rahiye
dhup mein barf ki manind pighalte rahiye

ye tabassum to hai chehron ki sajaT ke liye
warna ehsas wo dozaKH hai ki jalte rahiye

ab thakan panw ki zanjir bani jati hai
rah ka KHauf ye kahta hai ki chalte rahiye

zindagi bhik bhi deti hai to qimat le kar
roz fariyaad ka andaz badalte rahiye