jism hi pamal ho jae to sar kya kijiye
jaan to hum ko bhi pyari hai magar kya kijiye
dekhte rahiye sahar ke KHwab jhuTe hi sahi
mashghala ye bhi na ho to raat bhar kya kijiye
guftugu se rafta rafta KHamushi tak aa gae
aur harf-e-muddaa ko muKHtasar kya kijiye
har nazar turfa tamasha har qadam manzil nai
sair se fursat nahin milti safar kya kijiye
kaun jaane kitne bazu nazr-e-tufan ho gae
phul phal giniye shumar-e-baal-o-par kya kijiye
jazba-e-abaad-kari laeq-e-tahsin magar
pattharon ke shahr mein shishon ke ghar kya kijiye
saKHt-jaani apni qismat zang KHanjar ka nasib
kashmakash mein jaan hai 'afzal' magar kya kijiye
Ghazal
Jism hi pamal ho jae to sar kya kijiye
Ezaz Afzal