jism-e-be-sar koi bismil koi fariyaadi tha
hashr-samaniyan thin manzil-e-jaanan ke qarib
zau-fishan shams tha par us ko KHajil hona paDa
un ka husn aa gaya jab mehr-e-daraKHshan ke qarib
ashk ban ban ke jo chamka tha ufuq par barson
wo sitara nazar aaya tere mizhgan ke qarib
taer-e-ruh ne parwaz ki dekh ai sayyaad
tu gaya le ke qafas jab dar-e-zindan ke qarib
main to samjha tha nasheman bhi jala KHair hui
barq jab kaund ke aai thi gulistan ke qarib
aatish-e-ishq bujhae na bujhi ta-ba-lahad
bhaDki daman se to pahunchi ye gareban ke qarib
bu-e-gul dauD ke sadqe hui gesu pe 'zahir'
aap aae jo kisi din chamanistan ke qarib
Ghazal
Jism-e-be-sar koi bismil koi fariyaadi tha
Sayyad Zahiruddin Zaheer