اردو हिंदी
Jism diwar hai diwar mein dar karna hai | Shaahi Shayari
jism diwar hai diwar mein dar karna hai

Ghazal

Jism diwar hai diwar mein dar karna hai

Rafiq Raaz

;

jism diwar hai diwar mein dar karna hai
ruh ek ghaar hai is ghaar mein ghar karna hai

ek hi qatra to hai ashk-e-nadamat ka bahut
kaun se dasht-o-bayaban ko tar karna hai

jalte rahna bhi hai diwar pe fanus ke bin
be-zerah marka-e-baad bhi sar karna hai

KHak ho jaane pe ai KHak-basar kyun ho ba-zid
kya tumhein dosh-e-hawa par bhi safar karna hai

ab in aankhon mein wo dariya kahan wo chashme kahan
chand qatre hain jinhen lal-o-gohar karna hai

fath-e-gulzar mubarak ho magar yaad rahe
abhi na-dida bayaban bhi sar karna hai

kuchh to hai rang sa ehsas ke parde mein nihan
jis ko manzar ki tarah waqf-e-nazar karna hai

gul-e-nau-KHez ko tesha bhi bana de ya-rab
sang-e-lab-basta ke sine mein asar karna hai

ek neze pe lagane hain kai mewa-e-sar
ek Tahni ko samar-dar shajar karna hai