jism damakta, zulf ghaneri, rangin lab, aankhen jadu
sang-e-marmar, uda baadal, surKH shafaq, hairan aahu
bhikshu-dani, pyasa pani, dariya sagar, jal gagar
gulshan KHushbu, koyal kuku, masti daru, main aur tu
banbi nagin, chhaya aangan, ghunghru chhan-chhan, aasha man
aankhen kajal, parbat baadal, wo zulfen aur ye bazu
raaten mahki, sansen dahki, nazren bahki, rut lahki
sapn salona, prem khilauna, phul bichhauna, wo pahlu
tum se duri, ye majburi, zaKHm-e-kari, bedari,
tanha raaten, sapne katen, KHud se baaten, meri KHu
Ghazal
Jism damakta, zulf ghaneri, rangin lab, aankhen jadu
Javed Akhtar