jism apna hai koi aur na saya apna
jaane is zist se hai kaun sa rishta apna
tu ne kis moD pe chhoDa tha mujhe umr-e-rawan
tak raha hun kai sadiyon se main rasta apna
sang-andaz hua shahr-e-sitam-pesha tamam
dil liye baiTha hai shishe ka gharaunda apna
hum rahe bhi to badalte hue mausam ki tarah
teri aankhon mein koi aks na Thahra apna
jog le kar teri KHatir liye galiyon galiyon
ek mughanni ki tarah dard bhi becha apna
ek be-nam talluq bhi ab us ghar se nahin
muddaton jis mein raha tha kabhi charcha apna
ek tera gham tha ba-har-rang jo shadab raha
is shajar ne na giraya koi patta apna
dil ki diwaron pe ye rang-e-shab-e-tar to dekh
hadisa chhoD gaya hai koi saya apna
ai gham-e-KHak-shuda jag ba-rang-e-ashaar
teri miTTi mein milata hun main sona apna
kitne asnam tarashe hain teri surat ke
jhank kar dekhe zara mujh mein sarapa apna
Ghazal
Jism apna hai koi aur na saya apna
Musavvir Sabzwari