jise uDan ke badle thakan deta hai
KHuda use bhi to unchi uDan deta hai
usi ke hisse mein aati hai manzil-e-maqsud
jo har qadam pe yahan imtihan deta hai
ajib baat hai us pe sitam ki barish hai
jo chahta hai tumhein tum pe jaan deta hai
dahak rahi hai yahi aag mere sine mein
qasam wo kha ke bhi jhuTa bayan deta hai
mazar-e-husn se aati hai ye sada 'rahi'
wafa pe dekhiye ab kaun jaan deta hai
Ghazal
Jise uDan ke badle thakan deta hai
Rashid Rahi