jise sunaoge pahle hi sun chuka hoga
mujhe yaqin hai ye aisa waqia hoga
yahan to ab bhi hain tanhaiyan jawab-talab
wo pahle-pahl yahan kis tarah raha hoga
jo aaj tak hua kuchh kuchh samajh mein aata hai
koi batae yahan is ke baad kya hoga
KHala mein paenge tara jo dur tak niklen
phir is ke baad bahut dur tak KHala hoga
samajhta hun main agar sab alamaten us ki
to phir wo meri tarah se hi sochta hoga
qadim kar gai KHwahish jadid hone ki
kise KHabar thi yahan tak wo daera hoga
shikasta-pai se hoti hain bastiyan aabaad
jo ab qabila hua pahle qafila hoga
pasand hongi abhi tak kahaniyan us ko
wo mere jaisa koi ab bhi DhunDta hoga
faza zamin ki thi itni ajnabi ki 'malal'
sitara-war kahin rakh ho gaya hoga
Ghazal
Jise sunaoge pahle hi sun chuka hoga
Sagheer Malal