jise na meri udasi ka kuchh KHayal aaya
main us ke husn pe ek roz KHak Dal aaya
ye ishq KHub raha bawajud milne ke
na darmiyan kabhi lamha-e-visal aaya
ishaara karne lage hain bhanwar ke hath hamein
KHosha ki phir dil-dariya mein ishtial aaya
murawwaton ke samar daghdar hone lage
mohabbaton ke shajar tujh pe kya zawal aaya
hasin shakl ko dekha KHuda ko yaad kiya
kisi gunah ka dil mein kahan KHayal aaya
KHuda bachae tasawwuf-gazida logon se
koi jo sher bhala sun liya to haal aaya
Ghazal
Jise na meri udasi ka kuchh KHayal aaya
Asad Badayuni