اردو हिंदी
Jise milen wahi tanha dikhai deta hai | Shaahi Shayari
jise milen wahi tanha dikhai deta hai

Ghazal

Jise milen wahi tanha dikhai deta hai

Hira Nand Soz

;

jise milen wahi tanha dikhai deta hai
hisar-e-zat mein simTa dikhai deta hai

kisi ke sar pe koi saeban nahin har shaKHs
KHud apni chhanw mein baiTha dikhai deta hai

wo daur-e-tesha-giri hai ki aadmi ka wajud
har ek samt se TuTa dikhai deta hai

saza-e-dar abhi tak hai ahl-e-haq ke liye
abhi salib pe isa dikhai deta hai

dhuan dhuan hai faza aatish-e-tassub se
nagar nagar mujhe jalta dikhai deta hai

ye kaifiyat hai junun ki ya dil ki virani
ki apna ghar mujhe sahra dikhai deta hai

bhaTak rahi hai kisi karbala mein 'soz' ki ruh
kuchh is tarah se wo pyasa dikhai deta hai