jise main samajhta hun qatil yahi hai
mohabbat isi se hai mushkil yahi hai
adawat hui barq se baghban se
nasheman banane ka hasil yahi hai
taDapna barabar taDapte hi rahna
tere dar pe andaz-e-bismil yahi hai
bahut dur manzil magar har qadam par
thakan ka taqaza ki manzil yahi hai
mere qatl ka zikr hai aur wo chup hai
KHamoshi na kah de ki qatil yahi hai
mujhe to hansi apne gham par na aati
magar kya karun rang-e-mahfil yahi hai
wahan se 'iram' hum haTa lae kashti
yahan ye samajhna tha sahil yahi hai
Ghazal
Jise main samajhta hun qatil yahi hai
Iram Lakhnavi