jise main ne subh samajh liya kahin ye bhi sham-e-alam na ho
mere sar ki aap ne khai jo kahin ye bhi jhuTi qasam na ho
wo jo muskurae hain be-sabab ye karam bhi un ka sitam na ho
main ne pyar jis ko samajh liya kahin ye bhi mera bharam na ho
tu jo hasb-e-wada na aa saka to bahana aisa naya bana
ki tera waqar bhi kam na ho mera eatibar bhi kam na ho
jise dekh kar main ThiThak gai use aur ghaur se dekh lun
ye chamak raha hai jo aaina kahin tera naqsh-e-qadam na ho
mere munh se nikla ye barmala tujhe shad kaamran rakhe KHuda
tu payam laya hai yar ka teri umr KHizr se kam na ho
Ghazal
Jise maine subh samajh liya kahin ye bhi sham-e-alam na ho
Mumtaz Naseem