jise hum ne kabhi dekha nahin hai
use kya jaane kya hai kya nahin hai
teri aankhon se dil ki wadiyon tak
koi bhi rah-rau pahuncha nahin hai
jo pyasi ruh ko sairab kar de
wo baadal aaj tak barsa nahin hai
shajar ke ho gae kyun zard chehre
koi patta abhi sukha nahin hai
meri tishna-labi pe hansne walo
khaDa hun main jahan sahra nahin hai
hue hain log pyase qatl jab se
kisi dariya pe ab pahra nahin hai
takabbur ki chaTanen hain ye 'ahsan'
jo aaya hai yahan Thahra nahin hai
Ghazal
Jise humne kabhi dekha nahin hai
Nawab Ahsan