اردو हिंदी
Jise garm-iKHtilati ki laga de dil mein tu aatish | Shaahi Shayari
jise garm-iKHtilati ki laga de dil mein tu aatish

Ghazal

Jise garm-iKHtilati ki laga de dil mein tu aatish

Waliullah Muhib

;

jise garm-iKHtilati ki laga de dil mein tu aatish
phir us ke sang-e-turbat se nahin bujhti kabhu aatish

lagai tu ne yan tak mai-kade mein tund-KHu aatish
ki pyala hai pur-atish aur surahi ta-gulu aatish

ye aatish bagh mein hum ne lagi dekhi thi kal tujh bin
nasim aatish chaman aatish gul aatish gul ki bu aatish

likhen hum kis tarah kaghaz par apna soz-e-dil tujh ko
ki dil aatish zaban aatish dam aatish guftugu aatish

taf-e-dil ke bujhane ko hamari KHak par saqi
chhiDakna hai mai-gulgun ki az-dast-e-subu aatish

hamare aashiyan ke KHar-o-KHas ke tar-o-sozan se
kar is chaak qaba se shoale ko apne rafu aatish

'muhib' ke dil mein dagh-e-ishq ka kyunkar na gul phuTe
ki deta hai bajae aab aankhon se lahu aatish