jis waqt aankhen KHwab aaina dil hota hai
sher nahin likkha jata nazil hota hai
tanha kyun chalte ho kisi ke sath chalo to
ek rasta aisa hai jo manzil hota hai
aur kisi ke hath pe hum baiat na karenge
dariya sirf samundar mein shamil hota hai
zinda rahna sahal bahut hai lekin insan
jaan se guzar jae to is qabil hota hai
har shai nafa nahin har chiz KHasara nahin hai
kuchh khoya jata hai kuchh hasil hota hai

Ghazal
Jis waqt aankhen KHwab aaina dil hota hai
Safdar Siddiq Razi