jis tayaqqun se jo likhna tha nahin likkha gaya
aasman kaT ke miTTi pe zamin likkha gaya
meri peshani damakti hai sitaron se siwa
tere hathon se jahan harf-e-yaqin likkha gaya
mauj-dar-mauj samundar se mulaqat hui
KHwab ko KHwab sar-e-sath-e-zamin likha gaya
aks-dar-aks jo likhna tha mujhe us ka jamal
aaina-KHana-e-hairat ke tain likkha gaya
dekh kar us ko mere hosh Thikane na rahe
ism likhna tha kahin aur kahin likkha gaya
han uThaya tha qalam karbala walon ke liye
likhna chaha tha magar mujh se nahin likkha gaya
donon sarmast hain ehsas-e-suKHan-sazi mein
raushni aankh ko aur dil ko hazin likkha gaya
yun to safhat siyah karta raha main 'azhar'
chahta tha jo mera shauq nahin likkha gaya
Ghazal
Jis tayaqqun se jo likhna tha nahin likkha gaya
Mahmood Azhar