اردو हिंदी
Jis tarah pyasa koi aab-e-rawan tak pahunche | Shaahi Shayari
jis tarah pyasa koi aab-e-rawan tak pahunche

Ghazal

Jis tarah pyasa koi aab-e-rawan tak pahunche

Zia Zameer

;

jis tarah pyasa koi aab-e-rawan tak pahunche
DhunDte DhunDte hum is ke makan tak pahunche

shart itni thi mohabbat mein badan tak pahuncho
hum junun-pesha magar yar ki jaan tak pahunche

teri chaukhaT pe palaT aae tere diwane
be-aman yani usi ja-e-aman tak pahunche

chal paDe hain nai tahzib ke raste hum log
pani kab dekhiye KHatre ke nishan tak pahunche

shab ki jagi hui aankhon ki tapish puchhte ho
KHak ho jae agar KHwab yahan tak pahunche

KHair hum to wahin Thahre hain ki bichhDe the jahan
qafile walo batao ki kahan tak pahunche

kasa-e-jism uTha lae tere shahr ke log
aur ye kahne lage KHema-e-jaan tak pahunche

ishq mein ghair yaqini nahin hota kuchh bhi
baat kuchh bhi nahin bas aap guman tak pahunche