jis tarah do-jahan mein KHuda ka nahin sharik
tere jamal mein nahin koi hasin sharik
main bhi tera fidai hun mujh pe bhi rahm kha
jab tak hai is guman mein kuchh kuchh yaqin sharik
us ke sitam hi kam hain jo auron ka nam lun
hai aasman sharik na is mein zamin sharik
roz-e-jaza ummid hai sab ko saza mile
iqdam-e-qatl mein hain mere sab hasin sharik
ai badr tera dawa-e-yaktai sab ghalat
jumla sifat mein hai tere wo jabin sharik
sach puchhiye to jaan-e-jahan mere qatl mein
tirchhi nazar ke sath hi chin-e-jabin sharik
waiz tu bagh-e-husn ki ek bar sair kar
mumkin hai dilkashi mein ho KHuld-e-barin sharik
kya wajh tere zulm-o-sitam mein maza nahin
ai daur-e-charKH aaj wo shayad nahin sharik
bheja payam-e-jalsa to andaz se kaha
arsa hua ki hum nahin hote kahin sharik
'parwin' ghalat hai un ko samajhna juda juda
hain jism-o-jaan ki tarah se duniya-o-din sharik
Ghazal
Jis tarah do-jahan mein KHuda ka nahin sharik
Parveen Umm-e-Mushtaq