jis tarah dhup ka rangat pe asar paDta hai 
nafs ka waise ibaadat pe asar paDta hai 
aise mujh par bhi tere gham ke nishan dikhte hain 
jaise mausam ka imarat pe asar paDta hai 
sirf mahaul se fikren nahin badla kartin 
doston ka bhi tabiat pe asar paDta hai 
dushmanon se hi nahin hota hai KHatra lahiq 
baghiyon se bhi hukumat pe asar paDta hai 
ab samajh aaya sabab mujh ko meri pasti ka 
mang ghaTti hai to qimat pe asar paDta hai 
bhuk neki ki lage ya ki lage duniya ki 
bhuk lagti hai to surat pe asar paDta hai 
rizq rukta hai namazon ke qaza karne se 
niyyaten bad hon to barakat pe asar paDta hai 
saf dikhti hai buDhape mein qaza sach to hai 
umr ke sath basirat pe asar paDta hai 
pas rahne se hi baDhti nahin chahat 'mohsin' 
faslon se bhi mohabbat pe asar paDta hai
        Ghazal
Jis tarah dhup ka rangat pe asar paDta hai
Mohsin Aftab Kelapuri

